Jamuriyat ya Asli Jamuriyat
Jab se hosh sambhala hain amriyat ki khamiyan aur jamuriyat ki khuboyan suni hain..aik din ese hi socha kay pata tu karo ye donon cheezien hain kya…
pehle Jamuriyat ki taraf aik nigah karte hain
Jamuriyat:Esi Hakumati jamat jo kay Amm insan, Amm awam ki soch ko nazar main rakh kar kaam karay.usmain shamil log Amm awam ho ya khud aik sarbhara ko chun kay laye aur wo sarbhara Awam kay khenay par apne faraiz sarinjam day
kher ab atay hain Dictatoship ki taraf
Dictatorship:
Dictatorship yani amriyat ka matlab hota hain aik hakim aur sarii qoom mahkoom…
Baat karne ka maqsad seraf hamare mulk ki jamuriyat aur asal jamuriyat main farq zahir karna hain…
kher mujhe aur hum main se bohut ko ye maloom hi nahi kay ye jamuriyat kya hain aur aghar kisi ko pata hain tu ye nahi pata kay hamare mulk main kon se jamuriyat hain..pehle pehle jab main jamuriyat zinda bad jamuriyat zindabad sunti thi tu zehan main ata tha kay shaid jamuriyat ki bohut sarii iqsaam hain aur unmain se aik yahan Pakistan main raiz hain.
magar nahi jahan dekho jahan parho Jamuriyat ki aik hi tareef hain
phir wohi sawal zehan main agaya kay phir hamare Hukmaran kis jamuriyat ko Mulk se khatam nahi honay day gay..
Kis Jamuriyat ko khatra hain?
Kya har waqt media par biyan dena jamuriyat hain?aik dosre par ilzaam lagana jamuriyat hain?pani ki kami jamuriyat hain ya phir loadshedding jamuriyat hain?
arey jab se ye jamuri najam aya hain Kya appmain se kisi nai kuch aur dekha?
aik aur aham baat main ye hargis nahi khena chahti hain yahan amriyat is waqt hakum hain kyoon amir bhi kuch na kuch karta hain Awam ki na bhi sune
lekin hamara han Pakistan seraf aur seraf biyanat par chalta ahin
bijli gayi biyan,bijli ayi biyan
pani gaya biyan ,pani aya biyan
blast hua biyan
Governor kay khayal main chief minister of punjab ghalat,chief minister kay khayal main governor ghalat..
hamare politician yahan seraf aik dosre ko ghalat khene kay liye hain…
Hamare mulk kay bohut saray students hain jo siyasat ko bator majmoon parh rahay hain ye Article seraf isliye likh rahi hoon kay wo jo is subject ko par rahay hain ya parh chukay hain ya jo asal jamuriyat ka matlab jante ho agay aye..
in logon ko jo hamare saroo par sawar hain mulki dolat par sanp ban kar bethe hain
jinka baap maray tu beta ajata hain beta maray tu uska beta…
ab waqt tanqeed ka nahi hain balkay khud agay bharne ka hain..
Aristotle aik Greek philosopher tha usmnai jamuriyat kay baray main aik bohut khobsorat baat ki
”jamuriyat main ameer se zada ahmeyat ghareeb ko di jati hain kyoon ghareeb ki tadad zada hain aur zada tadad zada ihmeyat rakhti hain…”
Ab hum gharibon ka waqt agaya hain aghar haqooq hasil karne hain tu agay barho…

SocialVibe